Azmato Ki Malika Bazaar Me
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Haye Zainab (S.A) Be Rida Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Shaam Waloon Ne Sajaya Shaam Ko
Dawatein Bhejeen Hajumein Aam ko
Laaye Phir Aale Aba Bazaar mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Ek Khutba Aapne Aisa Padha
Ek Sahaabi Peet Kar Kehta Raha
Aagye Ya Murtaza Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Hain Kathin Bazaar Wale Marhale
Ek Rassi Se Bandhe Barha Galey
Khoon Abid Ro Pada Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Shamiyon Main Warisey Tatheer Hoon
Or Hayaon Sharm Ki Tafseer Hoon
Binte Zahra (S.A) Ne Kaha Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Zakhmi Chehre Pe Tha Baloon Ka Niqaab
Shaam Waloon Se Tha Zainab (S.A) Ka Khetaab
Ro Rahi Thi Har Ada Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Sar ke Khoon Me Tar Hai Jiski Ab Jabeen
Dar Haqeeqat Shaamion Zainab Nahi
Aa Rahi Hai Fatema (S.A) Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Kon Hai Jo Khauf Se Soyi Nahi
Shimr Se Sehmi Hai Yu Royi Nahi
Kiska Bandha Hai Gala Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Aye Khuda Usko Bohot Tauqeer De
Darde Ahle-Bait Ki Jageer De
Jisne Ye Nauha Suna Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Haye Zainab Be Rida Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein
Thank you for your kind words. Please subscribe our Youtube channel to appreciate our work.